Wednesday, 11 February 2015

dilli voters to Tsunami hi le aaye....sab beh gye is bahaav me. Main is beech jab delhi me thi to aaye din auto wale, rikshaw wale, sabji, fal wale bhaiya logon se(didi log mili nhi) se unk vote ke baare me baat karti thi. is class ka pura rujhan jhadoo ke liye tha par BJP ki middle class me pakad aur Modi sarkar ki economic aur foreign policy ka asar is election me ek deciding factor lag rha tha. par chaliye ji, accha hi hai...janadesh ka samman karna chahiye. pichli saal isi samay se shuru hua silsila fr se ek naye aayam se shuru ho raha hai...AAP k sath ab puri picture dekhne ka tym is Valentine se shuru kr rhe hai Kejriwal... chaliye dil walon ke shahar ko pyaar k din apni daastan likhne chale apne bandhuon ko badhai aur best wishes. democracy ka ek example kahiye ya janta ki beawaaz lathi, jisme zor bahot hai...ya buzurgo ka buzurg parties ko shraap...ye batane ka kaam pahle se hi media kr rhi hai. Hum aap din bhar unki khabron aur khabron me aa rhe unk vicharon se apne vichar banate rahe hai.. aur isi baat ka dar is baar bhi tha is election me. par kya hua jo dilli ki janta har khabar ko peeche chhodte AAP ke ummeed se bhi zyada unko de gyi ek aitihasik jeet. yeh bhi tay hai ki dilli ne is baar vote apna gussa ya apesha dikhane ka liye nahi kiya hai balki 67% dilli wasiyon ne rajneetik satta ek kisi ko hata kar kisi ki aur ko saupane ke uddeshya se kiya. Yogendra yadav ji ne bataya ek channel ko ki ek do baar south aur sikkim me aisi jeet hui hai...par aaj k sameekaran me dilli me ye jeet na sirf aitihasik hai balki chaukane wali bhi hai. par ek taraf jahan votes ke counting k result bahot jhatke wale hai wahi BJP ki pichli kai jeeton pe sawal nahi khade kar pa rhi hai. ye chinta to hai par iske baad BJP apni ran niti hi badle iski naubat nahi aayi shayad. aisa 84 me bhi hau tha jb BJP ko kewal do saansad mile the..aur tab ke neta Atal ji, Advani ji ne puri strategy hi badal dali thi...aur use criticise bhi kiya gaya tha. par aaj BJP jis stithi me hai...pichle kai chinav result ko dekhte hue..usse us ran niti ki safalta ka andaaja lag jata hai. dilli ki rajneeti alag hai...dusre states se alag. jahan jaat paat..dharm..k naam pr voters polarize nahi kiya ja sakta.

ye jeet jahn BJP ke liye jhatka..Congress ke liye basant ki chutti..aur dusri party ke liye leave without payment hai. wahi AAP ke liye pareeksha ki ghanti. kai saare vaade, dusro se alag hone ka raag suna ke AAP ne apna mauka fr se pa liya aur usk liye unhe badhayi par ab ise wo kaise pura krte hai ise na sirf virodhi dekhna chahenge balki aam aadmi iska inspection tabiyat se karega. kyu ki ye Aam Aadmi(ki) Party hai jahan filhaal abhi tak sabki pahuch hai.
 Ek baat aur...Kejriwal ko Dilli ka naya CM khne k phle is baat pe gaur farmaya jaye ki Kejriwal to jaise49 din ki shadi k baad jahgda kr wapas chali gayi biwi ko mana laye ho...aur is baar to wo bhar k dahej bhi layi hai. jiski ummeed dulhe ko na thi. bas beech me kai logo ne haath pair mara pr dulhan bhi wafadaar nikli. ye baat electronic media me baithe programing heads ko click nhi hui shayad,otherwise ispe adhe ek ghante ka program to ban hi jata. shayad bana ho,mujhse miss ho gya ho. aaj kal waisw bhi log news channels me movie banane ki aadhi training le lete hai news bana kar. khair, media ki creativity se door chalte hai air apne mudde pe aate hai. Dilli ki 67%janta k janadesh ki izzat karte hue Main puri ummeed karti hun ki dilli ke hone wale  CM apne banaye hue rooprekha pr chalenge aur dilli ko naya rukh dene me safal rahenge.
 Nayi aur mazedar baat ye hai ki AAP "naya" krne ki shuruat kr chuki hai...wo 3 MLAs k sath BJP ko opposition me dekhna chahti hai. ab Lok Sabha aur Rajdhani ki Vidhan sabha ke charcha se kuch ho na ho...chai ki bikri badhne k sath sath Lok Sabha ki rating aur channels se competition krne ki stithi me to zarur aa jayegi.

1 comment:

Satyendra said...

aapka man kyun udas hai is 'janadesh' se. kuchh ukhade-ukhare se man se yeh polished opinion nikalati hui prateet ho rahi hai. anyway aapka man aur aapke man mein aapki opinion! aur haan, kaash aapko didi(fruit seller) mili hotin! (maharashtra jana padega)

हमको घर जाना है

“हमको घर जाना है” अच्छे एहसास की कमतरी हो या दिल दुखाने की बात दुनिया से थक कर उदासी हो  मेहनत की थकान उदासी नहीं देती  या हो किसी से मायूसी...