PANDIT JI...


wo kubri lekar chalte the
sb unko pandit ji khte the
dubla patla haand maas
pata nahi kyu sb unse  darte the
koi na bach paya unse
hr din daant lagate the
itni baaton k baad bhi
sb pandit ji k paas hi aate the
jeevan bhr kya kamaye the
ye kheto me dikhta tha
ghr to chota tha unka
kamai khushi aangan me hasta tha
bade chote master brijesh unse chote mahesh sarvesh
inse ghr aksar ghbrata tha
badi bahin bacchi teen hatheli pe ghr chalta tha
apni patni ko bana bahuo ki saas
pandit ji ka ghr kuch yun hi chalta rhta tha
khet kachahri zindagi beeti
akhir waqt padhne me katata tha
wo buddhjivi...gyan batate...
waqt unse sambhal k chalta tha
apne jeevan me aam purush
hum sb k dada ji..
waqt ki tabiyat bi samjhe the
hr maas 10 tarikh se drte the
wo din aya..tha wo somwar
pariwa pitrapaksh ka tha
december ki thanthi me suraj bi shaant shithil sa tha
thanthe pad gye.. akele hi
khna unka sach ho gya
usi 10 tarikh ko...bin baccho k akele unka jana ho gya
hum sab ke bachapan ki kahani ka raja kho gaya
'desi' subak subak k royi thi
aapke dur jane ko asweekar kiye
bina samjh hi soyi thi
dada ji ab jb chale gaye
kaun hume samjhayega
duniya ki in riti riwajo se kaun hume milwayega
unki baaton ko yaad kr
kitne nirdaya hum lete hai
sach dada ji...tabhi safal hum hote hai
in akhir panktiyo me...koi jod tod na ban payega
itna hi khna hai 'gammu' ko
aap humesha hote hai...
dada ji...aapko yaad kr hum ab bhi roya karte hai
ab bhi roya krte hai

Comments

Popular Posts