Use n Through Romance..!!

Use n Through pen k sath sath ab market me kai tarah ki cheezen aa gayi hai use n through wali. China ki den hai aur humari meharbani. Khair, ab use n through romance aur use n through pyaar ka chalan badh gaya hai aaj kal. shikaari shikaar dhoondte rhte hai. lamba chalne wale khatedaar hai to sambhal ke thoda. kahi use kr k fenk na uthiye market me. accha, aaj kal ye dar nahi rah gaya ki fr koi puchega nahi...use n through se usage capacity bhi badhi hai. Ab agar dubara use nahi hona chahte ho to market me chaukanne rahe. consumer court thodi nasaaz hai abhi is mamle me. isme CHINA ko dosh mat dijiyega. Waise bhi Hindustani dil hai hi ishq mizaaj, kya kariyega.

  Hum aaj kal Nawaabo k shahar me dera jamaye hue hai...LUCKNOW. shahar me ghuste hi swagat me likha milta hai "Muskuraiye aap Lucknow me hai"...aur ghuste hi raah chalte log khte hai "hasi to fasi". aise mahaul me sambhalna thoda mushkil hai. ye permanent wala tag lagi dukaan bhi ab dhokha dene lagi hai, puri gaurantee nahi de pati...haan bhai, achaa aap samjhe nahi, arrey bhai shadi-vivaah ..Aaj kal ye mamle bhi zyada kaargar sabit nahi ho pa rhe hai. mamla gambhir hota ja rha hai. hum zyada bolenge to puchna shuru ho jayega ki arrey apko bhi koi use n through ke mamle me fasa gaya kya? Aadatan, dusro se aise sawal puchne me maza jo ata hai. Arrey huzoor, market me ab brands ki kami nahi hai. apne hisaab se chunte jaiye. Sale wale me thoda sambhaliyega. used hua to fr bhi ganimat, defaulted piece nikal gaya to dikkat ho jati hai. 

 Jab baat choice ki ho rahi hai to ek baat zehan me aati hai. Hum zindagi bhar apni pasand ka dost, pyaar, sathi pane ke chakkar me na jane kitna trail kar lete hai.  Aur na milne par kuch log kitni dafe market se hi muh mod lete hai. par kya kabhi socha hai, jahan hume ye zindagi naseeb hoti hai, jinse hoti hai, aur jinke sath hoti hai, wo humari pasand ke honge ya nahi ye humse koi nhi puchta. bas hume milte hai kuch log maa baap bhai behan pariwaar k naam par aur  maze ki baat to ye ki humari zindagi ka sabse imp part bina humari pasand ke milta hai. shayad tabhi hum zindagi bhar isi khunnas me apni pasand ke liye ladte rahte hai. shukr hai, kapde aur samaan ek jaise kai sare bante hai. ye bhi insaano jaise hote to inke liye bhi rishte laye jate. Thali ke liye Katori, Chakla ke liye belan, sofa k liye table, bed ke liye bedding, AC ke liye Heater, pani ke liye Bijli....sabka standard hota. Thali bolti apni dost se katori ko dekh, haaye kitna glu molu hai. mere sath kitna jachega na ye. chota hai to kya hua main isko apne yahan adjust kr lungi. Rishta na hone par katori gussa k bolta hai, hai hi kya tu. koi curve nhi, puri flat hai. Aaj kal curve ka zamana hai, main plate ke sath ji lunga. par tujh ghamandi ke paas dubara kabhi na aaunga. ohho hhoo..boring ho gaya. pr Hum insaan bhi aise hi double triple ho jaye to thodi museebte kam ho jaye shayad. AB clones banne lage hai, kuch din me insaan bhi banne shuru ho hi jayenge.

   Waise acha hai. kuch na kuch naya hote rahna chahiye. experience ki kadr hoti hai...use n through ke chalan se kai log experienced hote ja rahe hai...Romence me...Love shove k mamle  me. 

Muskurate Rahiye, Pyaar Karte rahiye, Aate rahiye...
:-)

Comments

Anonymous said…
Thoroughly enjoyed n overwhelmed with expressions :)

Popular Posts